Secrets Of MX Player

Dosto Yaqenan Ap may say ziada ter user MX Player hi use kertay hongay lakin ap mai say aksar loog is kay feautures say waqiyaf nahi hongay in mai say kuch feauture neechay diay gai hai.
1.Child Lock 
Dosto Ap Mai say aksar loog videos ko daikhtay waqt lock ker daitay hai hongay takeh aram say daikh sakay ya phir ap kay sath bachay daikh rahay ho to woh aksar screen per hath lagaty rehtay hai jis say video agay peechay hoti rehti hai is wajah say ap screen lock ker daity hai ap.
Kia ap ko child lock ka bhi pta hai kay yeh kia hai.Aj mai ap ko btaio ga keh child lock kia hai aur isay kaisay activate kia jata hai.
Child Lock Kia Hai?
Jab ap Child Lock Activate krain gay to jab ap kisi video ko lock krain gay aur phir screen per click krain gay to screen per diffrent type kay effects show hongay like eroplane, butterfly ,stars ,rose etc show hotay hai.
How to Activate Child Lock
Child Lock ko Activate kernay kay liay ap koi video play krain  three Dots per click krain Phir Display per click krain aur phir setting per click ker dain iskay baad Controls per click ker kay lock per click krain aur phir child lock ko select ker dai aur phir wapas aker Video ko lock krain aur screen per touch krain aur daikhay phir kamal.

Change Theme
Dosto jab hum MX Player ko instal kertay hai toh sub kuch by defult hota hai ager ap MX Player kay aik hi theme say bore ho chukay hai to prayshan honay ki zaroorat nahi kiounkay ap is kay theme ko change bhi ker saktay hai.
How to Change Theme ?
Theme change kernay kay liay ap MX Player ko open kijiay phir three dots per click kijiay Phir Setting per click ker kay list per click krain aur phir Theme Per click kerain ap kay samnay diffrent colour a jai gay phir ap apni Pasandi ka select ker laina hai.
Three dits=>Setting=>List=>Theme

Hide Folder
Ager Ap MX Player mai koi folder hide kerna chatay hai aur ap ko pta nahi hai keh Folder kaisay hide kia jata hai to aj mai ap ko aik simple method btata ho Subsay phely MX Player Open krain Folder per Long Prees ker kay usay select krain aur phir three dots per click ker kay hide press ker dain is say ap ka folder hide ho jai ga.
Mark Folder=>Click Three dots=>hide


How to Unhide Folder?
Ager ap dubara hide kiay howay folder ko MX Player mai show kerwana/unhide kerna chatay hai to ap nay 3 dots per click kerna hai us kay baad seting aur phir list per click kerna hai phir scroll down kerna hai aur Folder per click ker daina hai is say hide kiay howay Folder a jai gay ap nay hide kiay howay Folder per click mark kerna hai aur neechay diay gai show walay button per click ker daina hai to hide kia howa Folder doubara MX Player mai show ho jai ga.
Three dits=>Setting=>List=>Folder

Hide Video
Ager ap Video ko hide kerna chatay hai to ap nay video kay name say phely dot(.) Laga daina hai aur phir save ker daina hai to video hide ho jai gi.

How to Unhide Hidden Video?
Ager ap is video ko doubara unhide kerna chatay hai to three dots per click krain phir setting phir liast aur phir neechay ja ker Show hide Folder ko tick mark ker daina hai is say video doubara unhide ho jai gi.
Three dits=>Setting=>List=>Show hidden files start with dot
Mx Player Kay aur feauture bahout jald Post ker diay jay gay.
Ap Hamari Website ko bookmark ker lain.
Share To:

Muhammad Umar

Post A Comment:

0 comments so far,add yours